Song Title : Bahut Din Hue Movie/Album Name: ANURADHA Singer(s) : LATA MANGESHKAR, MAHENDRA, MANNA
Lyrics:
mahendra: bahut din hue taaron ke desh mein chanda ki nagariya mein rehtey the ik raja baj raha tha durr durr unki jay ka baaja baithe the partaapi raaja vaise unki raani jaisa roop rang paaya vaisi gyaani daani dono ki dulaari ik bitiya thi pyaari phool jaisi naazuk thi vo naam tha phool kumaari
andhi takdeer ne andher kiya bhaari chheeni uske honthon se hansi vo pyaari pyaari phool kumaari bhool gayi hasna muskuraana loot liya bhaag ne kushi ka vo khazaana
magar ye kaun, ye kaisi aawaaz ?
mannaa: leke dil ka saaz ham geet gaane aa gaye he, dil ke kaliyon ne kaha din suhaane a gaye
gam ke baadal hat gaye khul gaya neela gagan har kali ko pyaar se chhu gayi suraj kiran muskura lo jhoom lo o zamaane aa gaye leke dil ka saaz ham geet gaane a gaye
lataa: sama albela din hain milan ke preet leke aayi dekho meet mere man ke
piya-piya gaaye jiya naache man mora meri unki jodi jaise chaand aur chakora nainon mein chhupaye phiru sapne sajan ke sama albela ...
jinhen maine dil diya vo bhi rahe mere man mein manaau main saanjh aur savere jeete ji na tootegi ye bandhan jeevan ke sama alabela ...
mahendra: jaise unke achhe din phir se laut aaye maalik aaise sabki sune sabke din lautaaye
|