Song Lyrics: Darashan Do Ghanshyaam Naath Moree Song Lyrics Movie or Album: Narsi Bhagat 1940 Singer(s): Hemant Kumar, Manna De, Sudha Malhotra Music Director(s): Ravi Lyricist(s): Narasi Mehta
Lyrics
darashan do ghanshyaam naath moree, ankhiya pyaasee re mann mandir kee jyotee jagado, ghat ghat baasee re
mandir mandir murat teree, phir bhee naa dikhe surat teree yug bite naa aai milan kee, puranamaasee re
dwaar daya kaa jab too khole, pancham sur me gunga bole andha dekhe langada chaal kar, pahunche kaasee re
paanee pee kar pyaas bujhaau, nainon ko kaise samajhaau aankh michaulee chhodo abb, mann ke baasee re
nibarl ke bal dhan nidharn ke, tum rakhwale bhaktjano ke tere bhajan me sab sukh paau, mite udaasee re
nam jape par tujhe naa jaane, unako bhee too apana maane teree daya kaa ant nahee hai, he dukh nashee re
aaj phaisala tere dwaar par, meree jit hai teree har par har jit hai teree mai toh, charan upasee re
dwar khada kab se matavala, mange tum se har tumharee narasee kee yeh binatee sunalo, bhakt vilaasee re
laj naa lut jaye prabhu teree, nath karo naa daya me deree tin lok chhod kar aao, ganga nivaasee re
|