Title : Agar Tum Na Hote Movie/Album Name: AGAR TUM NA HOTE Singer(s) : KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR
Lyrics:
Kishore Kumar Version: Hamein aur jeene ki chaahat na hoti -2 Agar tum na hote, agar tum na hote
(Tumhen dekhke to lagta hai aise Bahaaron ka mausam aaya ho jaise) -2 Dikhaayi na deti andheron mein jyoti Agar tum na hote, agar tum na hote Hamein aur jeene ki..
(Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa) -2 Kinaare pe bhi to leher aa duboti Agar tum na hote, agar tum na hote Hamein aur jeene ki..
Lata Mangeshkar Version: Hamein aur jeene ki chaahat na hoti -2 Agar tum na hote, agar tum na hote
(Tumhen kyaa bataaoon ke tum mere kyaa ho Meri zindagi ka tum hi aasra ho) -2 Main aasha ki ladiyaan, na rah rah piroti Agar tum na hote, agar tum na hote Hamein aur jeene ki..
(Har ik gham tumhaara sahenge khushi se Karenge na shikwaa kabhi bhi kisi se) -2 Jahaan mujh pe hastaa, khushi mujhpe roti Agar tum na hote, agar tum na hote Hamein aur jeene ki..
Sad Version (Kishore Kumar): Na jaane kyoon dil se ye aawaz aayi Milan se hai badhke tumhaari judaai In aankhon ke aansoo, na kehlaate moti. Agar tum na hote, agar tum na hote -2
|