Song Lyrics : Aanan Faanan Huwa Kya Se Kya Song Lyrics Movie or Album: Namastey London Singer : Akiriti Kakkar, Jayesh Gandhi, Javed Akhtar (Poetry) Music Director : Himesh Reshammiya Lyricist : Javed Akhtar
Lyrics
aanan faanan huwa kya se kya, mai janeman huwa kya se kya dhadka dhadka dhadka sa dil, kehta hai yeh fasaana tadpa tadpa tadpa sa dil, chahe tere paas aana
ek pal toh mujhe dekhatee sharmayee thee aankhe aankhon se gujarata huwa muskaan kaa saaya shaayad meree khamoshee ne hai keh diya tumse woh raaj jo mai tumse kabhee keh nahee paaya
aanan faanan huwa kya se kya, mai janeman huwa kya se kya - (2) dhadka dhadka dhadka sa dil, kehta hai yeh fasaana tadpa tadpa tadpa sa dil, chahe tere paas aana aanan faanan huwa kya se kya, mai janeman huwa kya se kya dhadka dhadka dhadka sa dil, kehta hai yeh fasaana tadpa tadpa tadpa sa dil, chahe tere paas aana aanan faanan huwa kya se kya
kal kya hoga, yeh mat socho tum yeh dekho kee sham ke daaman me kya hai madham madham see roshaniyo me dhun pe machalate jismo par halkee see damak lehraatee huyee sandal baahe, balkhaatee huyee resham julfe yeh ang ang yeh jhalak jhalak, shisho kee khanak shishon ko chhute naajuk labj, jiname shaam kee surkhee hai hiranee see vaishee aankhon me, anjaane se paigaam base yeh dekh ke inako behake toh iljaam kise inn lamho ke pyaalo me jitnee mastee hai saaree kee saaree tum pee lo, iss sham ko jee bharke ji lo kal jo bhee hoga dekhenge
teree mohabbat hee, meree parastish hai meree too ho jaye, meree yeh koshish hai sun le meree tamanna, tumhe meree hee bana aye meree nilam paree, dekh meree yeh baahe dekh le yeh nigaahe, hai kitni pyaar bharee dhadka dhadka dhadka sa dil, kheta hai yeh fasaana tadpa tadpa tadpa sa dil, chaahe tere paas aana aanan faanan huwa kya se kya
mujhko teree aawaaj se khushbu aatee hai aur khushbu me rang dikhayee dete hai too jab nahee hai, tab bhee too hai saath mere milon se chhute hai tujhako haath mere woh jo teree saanso me hai ghule huye kahee raho woh git sunayee dete hai baadal titalee kaliya lehare phul hawa yeh sab tere rup dikhayee dete hain mai hu teraa naam hain, teree baate hain har pal dohraata teraa afsaana hu mujhko toh abb hosh nahee hain too hee bata sab kehte hain mai teraa divaana hu
dil jise dhundhe hai, too wohee dilkash hai dil jise maange hain, too wohee mehmash hai tujhako ek din hain paana, dil kaa yeh hain taraana har subah har shaam hai, tujhko hee yaad karna teree hee baat karna, meraa yahee kaam hai dhadka dhadka dhadka sa dil, kheta hai yeh fasaana tadpa tadpa tadpa sa dil, chaahe tere paas aana aanan faanan huwa kya se kya, mai janeman huwa kya se kya..
Posted by : {Anamika Tyagi}
|