Song Lyrics Title : Tauba Tauba Tabahi Tabahi Song Lyrics Movie : Sahib Bahadur (1980) Singers: Kishore Kumar Song Lyricists: Rajendra Krishan Music Composer: Madan Mohan Kohli Music Director: Madan Mohan Kohli Director: Chetan Anand Music Label: Saregama Starring: Dev Anand, Priya Rajvansh, Jalal Agha, Ajit, I.S. Johar
mp3 songs
Tauba tauba tabahi tabahi Tauba tauba tabahi tabahi Aji das paise ki darjan Chane bikte hai Aji das paise ki darjan Chane bikte hai Sone ke bhav matter milte hai Kot ke daamo langot silate hai Yaar bhi matlab Se gale milte hai Ajab hai duniya Gajab hai zamana Ke bul bul hai chup Gaye ullu taranna Suno hai bikau Khuda ki khudai ki Kisi ek smuggler Ne boli lagayi Tauba tauba Tauba tauba tabahi tabahi Tauba tauba tabahi tabahi
Achhi surat bhi zamane mein Kidhar milti hai Aji badi mushkil se Ye badi mushkil se Hasino se nazar milti hai Aaj kalke ye hasi Pehle jaise to nahi Pehle jaise to nahi Aaj kalke ye hasi Aankh mein surma kaha Hoth par pan kaha Wo khadakti hui salwar Meri jaan kaha Wo dupatta na raha Wo garara na raha Aji aabaru dhakne ab Koi sahara na raha Chehre chehre pe likhhi Behayai behayai Tauba tauba tabahi tabahi Tauba tauba tabahi tabahi
Ek chaprasi ne afsar se Sikayat ki hai Aapne aaj subah Chhupke jo rishwat li hai Sidha sidha mera hissa Mujhe de do saheb Warna karwa dunga nishah mein Tujhe main gayab Tumhari khursi kachhi Mera eschool pakka Ke tumho dukku tikki Hukum ka main hu ekka Maani jayegi meri gawahi gawahi Maani jayegi meri gawahi gawahi Tauba tauba Tauba tauba tabahi tabahi Tauba tauba tabahi tabahi
Aaj ek dost purana sare bazar mila Puchha kyo aaj tera phool sa Chehra hai khila Zor se hans ke ye Khush khabri sunai usne Ke apne baap ki arthi Sabere hi uthai usne Pitaji jal ke ho gaye raakh Lakin chhod gaye das lakh Pitaji jal ke ho gaye raakh Lakin chhod gaye das lakh Udenge nit din ab gulchharre Jane roz piyenge tharre Honge raat raat ab mujre
Raja teri godi mein Vina ban jaungi Raja teri godi mein Vina ban jaungi Raja teri godi mein Jab mere saiya ko bhukh lagegi Jab mere saiya ko bhukh lagegi Laddu paida aay hay Laddu paida jalebi ban jaungi Laddu paida jalebi ban jaungi Raja teri godi mein Vina ban jaungi Raja teri godi mein
Ram ki dharti mein Aisi agar aulad hogi Kyu na matti mere Is desh ki barbad hogi Ab na maszid mein namaze hai Na mandir mein bhajan Kebare dance mein Khoya hua hai saara watan
Kab koi tulsi aana na Koi kabhi kabir aayega Aur dam todte insan Ko bacha jayenga Na hoga mann kala Na hoga dhan kala Mit jayegi saari siyahi siyahi Aur setan dega duhai duhai Tauba tauba Tauba tauba tabahi tabahi Tauba tauba tabahi tabahi.
Posted by: Neha sharma
|