Title : Abhigyaan Shaakuntal Movie/Album :KAVI KALIDAS Singer(s) : MANNA DE, ASHA BHOSLE
Lyrics:
MANNA DE, ASHA BHOSLE pranay virah aur milan ki katha suno saathi abhigyaan shaakuntal sundar abhinay kala ???
MANNA DE, ASHA BHOSLE sakhi hriday mein halachal kyon hone lagi meri akhiyaan do chanchal kyon hone lagi gaya bachapan ka raat din aaya vo aaj tan kumhalaaye ab singaar se paanv dabate ....2hain yauvan ke bhaar se koi kaanon mein gun gun gun gaane laga dekho bhanvara bhi hamako sataane laga dank maare kyon jor mat kar itana shor koi aayega teri pukaar se paanv dabate hain yauvan ke bhaar se
MANNA DE kanv suta priy shakuntala nahin aanchal saki sambhaal ruup dekh dushhyant ka haay hui behaal
ASHA BHOSLE ye tapasvini vo raaja phir bhi anhoni ho gayi puurn yauvana pratham milan ki pratham drishhti mein kho gayi
MANNA DE raaja ne bhi ghar aur jag ki zara na ki parvaah shakuntala ke sang kiya ban mein gandharv vivaah kar vivaah de kar vachan nrip ne kiya prasthaan kintu shaapvashh bhuul gaye vo shakuntala ka dhyaan
MANNA DE, ASHA BHOSLE bhuul gaye kyon de ke vachan tan ko jalaaye biraha agan ya chale aao, ya mujhako bulaao darshan bin akulaaye nayan bhuul gaye kyon de ke vachan bhuul gaye bhuul gaye bhuul gaye bhuul gaye kyon bhuul gaye
biraha taap se byaakul birahan sah na saki judaayi priyanvada ne maan ke god mein ye katha sunaayi
MANNA DE maan ki mamata bhari, do akhiyaan karuna se bhar aayin pita kanv laadali shakun ko dete aaj bidaai
asha rone lagi aashram ke sakhiyaan saheli rone lagi bagiya ki saathi chameli hirana bhi roy jis ke sang zara kheli chhod hamein aaj kahaan chali ho akeli
nayanon mein ullaas tha man mein milan ki aas maan ke sang shakuntala pahunchi piya ke paas
MANNA DE badal gaye dushhyant nr^ip vidhi ka ajab vidhaan durvaasa ke shaap vash sake nahin pahachaan kaun ho kahaan se aa rahi ajaan naar tum
ASHA BHOSLE kya bataayuun jab bhulaate ho hamaara pyaar tum
manna pyaar kaisa pyaar? pyaar kaisa pyaar jhuuthh bolati zabaan tum
asha dekh lo diya hua anguuthi ka nishaan tum
MANNA DE main na jaanata tumhein ye kaisa naari vansh hai
aMANNA DE, ASHA BHOSLE mere garbh mein tumhaare vansh hi ka ansh hai
MANNA DE ja apane ghar sundari khadi yahaan kyon maun
MANNA DE, ASHA BHOSLE ja kalankini piya nahin to ham bhi tumhaare kaun
ASHA BHOSLE tuut pada aakaash, phata dharitri maan mujhe sambhaalo god mein piya hue agyaan
Posted by : Ravi Sahu
|