Song Title : Dayaar-E-Dil
Movie/Album Name: MERAJ-E-GHAZAL (NON FILM)
Singer(s) : GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
Lyrics:
GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
GHULAM ALI
mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
ASHA BHOSLE
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
judaayiyon ke zakm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya-2
GHULAM ALI
mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
pukaarati hain fursatein kahaan gayin wo sohabatein
zamin nigal gayi unhein ya aasamaan kha gaya
GHULAM ALI
ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan-2
ab aayine mein dekhata huun main kahaan chala gaya
ASHA BHOSLE
mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
ASHA BHOSLE
wo dosti to kair ab nasib-e-dushmanaan huyi
wo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
GHULAM ALI
mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
ye kis kushi ki ret par gamon ko nind aa gayi
ASHA BHOSLE
wo lahar kis taraf gayi -2
GHULAM ALI
ye main kahaan chala gaya-2
ASHA BHOSLE
mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya
GHULAM ALI, ASHA BHOSLE
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya
Posted by : Ravi Sahu