Song Lyrics : Kandho Se Milate Hain Kandhe Song Lyrics Movie or Album: Lakshya Singer(s): Hariharan, Kunal Ganjawala, Roop Kumar Rathod, Shankar Mahadevan, Sonu Nigam, Vijay Prakash Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy Lyricist(s): Javed Akhtar
Lyrics
(kandho se milate hain kandhe, kadmon se kadam milte hain ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) - (2) (abb toh hame aage badte hai rehna abb toh hame sathee hai bas itna hee kehana) - (2) abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana (kandho se milte hain kandhe, kadmon se kadam milte hain ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) - (2) nikle hain maidan me ham jan hatheli par le kar abb dekho dam lenge ham jake apanee manjil par
khataro se haske khelana, itani toh ham me himmat hai mode kalai maut kee, itani toh ham me takat hai ham sarhado ke waste lohe kee ik diwar hai ham dushmano ke waste hoshiyar hai taiyar hai abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana kandho se milte hain kandhe, kadmon se kadam milte hain ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain
josh dil me jagate chalo, jit ke git gate chalo - (2) jit kee jo tasvir banane ham nikle hain apanee lahu se hamko uss me rang bharna hai sathee maine apane dil me abb yeh than liya hai ya toh abb karana hai, ya toh abb marna hai chahe angare barse ke bijli gire, tu akela nahee hoga yara mere koi mushkil ho ya ho koi ho morcha sath har mod par honge sathee tere abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana kandho se milte hain kandhe, kadmon se kadam milte hain ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain
ik chehra aksar mujhe yad aata hai iss dil ko chupke chupke woh tadpata hai jab gharse koi bhee khat aaya hai kagaj ko maine bhiga bhiga paya hai palko palko pe yado ke kuchh dip jaise jalte hain kuchh sapane aise hain, jo sath sath chalte hain koi sapana naa tute koi wada naa tute tum chaho jisse dil se woh tumase naa ruthhe abb jo bhee ho shola banke pathar hai pighlana abb jo bhee ho badal banke parbat par hai chhana kandho se milte hain kandhe, kadmon se kadam milte hain ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain chalta hai jo yeh karvan, gunji see hai yeh wadiyan hai yeh jamin yeh aasman, hai yeh hawa hai yeh sama har raste ne, har wadi ne har parbat ne sada dee ham jitenge ham jitenge ham jitenge har baji (kandho se milte hain kandhe, kadmon se kadam milte hain ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) - (4) chalta hai jo yeh karvan, gunji see hai yeh wadiya
|