Song Lyrics: Halka Suroor Mukammal Song Lyrics Movie or Album: Yeh Jo Halka Halka Suroor Singer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics
Saaqii Ki Har Nigaah Pe Bal Khaa Ke Pee Gayaa laharon Se Khelataa Huaa Lahraa Ke Pee Gayaa
ai Rahmat-e-tamaam Meri Har Khata Muaaf main Intehaa-e-shauq Mein Ghabraa Ke Pee Gaya
peetaa Beghair Izn Ye Kab Thii Meri Majaal dar-pardaa Chashm-e-yaar Kii Shah Paa Ke Pee Gayaa
zaahid Ye Merii Shokhi-e-rindaana Dekhnaa rahmat Ko Baaton Baaton Mein Bahlaa Ke Pee Gayaa
oodi Oodi Ghataein Aati Hain mutribon Ki Nawaein Aati Hain
kis Ke Gesu Khule Hain Saawan Mein mehki Mehki Hawaein Aati Hain
aao Sehn-e-chaman Mein Raqs Karein saaz Lekar Ghatein Aati Hain
dekh Kar Unki Ankhadion Ko Adam maikadon Ko Hawaein Aati Hain
paas Rehta Hai Duur Rehta Hai koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
jab Se Dekha Hai Unki Aaknhon Ko halka Halka Suroor Rehta Hai
aise Rehte Hain Wo Mere Dil Mein jaise Zulmat Mein Noor Rehta Hai
ab Adam Ka Wo Haal Hai Har Qadam mast Rehta Hai Choor Rehta Hai
ye Jo Halka Halka Suroor Hai ye Teri Nazar Ka Qusoor Hai ke Sharaab Peena Sikha Dia
tere Pyaar Ne Teri Chaah Ne teri Behki Behki Nigaah Ne mujhe Ek Sharaabi Bana Dia
sharaab Kaisi Khumaar Kaisa ye Sab Tumhari Nawazishein Hain pilayi Hai Kis Nazar Se Tuune ke Mujhko Apni Khabar Nahin Hai
saara Jahaan Mast Jahaan Ka Nizaam Mast din Mast Raat Mast Sahar Mast Shaam Mast mast Sheesha Mast Suboo Mast Jaam Mast hai Teri Chashm-e-mast Se Har Khaas-o-aam Mast
ye Jo Saqi Har Tarah Ki Tere Maikhaane Mein Hai wo Bhi Thodi Si Jo In Aankhon Ke Paimaane Mein Hai
sab Samajhta Hun Teri Ish (??) Nazar Ai Saqi kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimaane Ka
tera Pyaar Hai Bas Meri Zindagi
na Namaz Aati Hai Mujhko Na Wuzoo Aata Hai sajdaa Kar Leta Hun Jab Saamne Too Aata Hai
main Azal Se Bandaa-e-ishq Hun mujhe Zuhd-o-kufr Ka Gham Nahin mere Sar Ko Dar Tera Mil Gaya mujhe Ab Talash-e-haram Nahin
meri Bandagi Hai Wo Bandagi jo Ba Qaid-e-dair-o-haram Nahin mera Ik Nazar Tumhein Dekhna baa Khuda Namaz Se Kam Nahin
tera Pyaar Hai Bas Meri Zindagi
qayamat Mein Tera Dagh-e-muhabbat Lekar Uthuunga teri Tasveer Us Dam Bhi Kaleje Se Lagi Hogi
kyunki
tera Pyaar Hai Bas Meri Zindagi
teri Yaad Hai Meri Bandagi jo Teri Khushi Wo Meri Khushi ye Mere Junoon Ka Hai Moajzaa jahan Apne Sar Ko Jhuka Dia wahan Maine Kaaba Bana Dia
mere Baad Kisko Sataaoge ??
dil Jalon Se Dil Lagi Acchi Nahin rone Walon Se Hansi Acchi Nahin dillagi Hi Dillagi Mein Dil Gaya
oh Mere Dil Gaya Dil Gaya Dil Gaya
khuda Ke Liye Apni Nazron Ko Roko Warna mera Dil Gaya Dil Gaya Dil Gaya
meri Tarah Khuda Kare Tera Bhi Kisi Per Aaye Dil too Bhi Kaleja Thaam Ke Kehta Phire Ke Haye Dil
mera Dil Gaya Dil Gaya Dil Gaya
dillagi Hi Dillagi Mein Dil Gaya dil Lagaane Ka Nateeja Mil Gaya main To Rota Hun Ke Mera Dil Gaya tum Kyun Hanste Ho Tumhein Kya Mil Gaya ??
accha Phir.....
mere Baad Kisko Sataaoge ?? mujhe Kis Tarah Se Mitaaoge kahan Jaa Kar Teer Chalaoge meri Dosti Ki Balayein Lo mujhe Hath Utha Kar Duaayein Do tumhein Ek Qaatil Bana Dia
mujhe Dekho Khwaish-e-jaan-e-jaan main Wahi Hun Anwar-e-neem Jaan tumhein Itna Hosh Tha Jab Kahaan na Chalao Is Tarah Tum Zubaan karo Mera Shukria Meherbaan tumhein Baat Karna Sikha Dia
ye Jo Halka Halka Suroor Hai ye Teri Nazar Ka Qusoor Hai ke Sharaab Peena Sikha Dia
|