Song Lyrics: Afreen.... Husn-e-jana Kee Tarif Mumkin Nahee Song Lyrics Movie or Album: Afreen Singer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics
(husn-e-jana kee tarif mumkin nahee afreen afreen afreen afreen........... too bhee dekhe agar toh kahe hamnashi afreen afreen afreen afreen...........) - (2) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)
aisa dekha nahee khubsurat koyi jism jaise ajanta kee murat koyi jism jaise nigaho pe jadu koyi jism naghma koyi, jism khushbu koyi jism jaise machalti huyi ragini jism jaise mehkati huyi chandni jism jaise ke khilta huwa ek chaman jism jaise ke suraj kee pehli kiran jism tarsha huwa dikasho dilnashi sandali sandali marmari marmari - (2) afreen afreen afreen.......... - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)
chehra ek phul kee tarah shadab hai chehra usaka hai, ya koyi mehtab hai chehra jaise ghazal, chehra janey ghazal chehra jaise kali, chehra jaise kanval chehra jaise tasavar bhee, tasveer bhee chehra ek khawab bhee, chehra tabeer bhee chehra koyi alif laila kee dastan chehra ek pal yakin, chehra ek pal guman chehra jaisa ke chehra kahee bhee nahee mahru mahru mehjabin mehjabin - (2) afreen afreen afreen.......... - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)
ankhen dekhi toh mai dekhta rah gaya jam du ore dono hee du atesha ankhen ya makadi ki du bab hain ankhen inako kahu, ya kahu khawab hain ankhen niche huyi toh haya ban gayi ankhen unchi huyi toh duwa ban gayi ankhen uthakar jhuki to ada ban gayi ankhen jhukakar uthi toh kada ban gayi ankhen jinme hain asman aur jamin nargisi nargisi surmayi surmayi - (2) afreen afreen afreen.......... - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (2)
julf-e-jana kee bhee lambi hai dastan julf kee mare dil par hai perchayiya julf jaise ke umadi huyi ho ghata julf jaise ke ho koyi kali bala julf uljhi toh dooniya pareshan ho julf suljhi to yeh did asan ho julf bikhri siyah rat chane lagi julf lehraye toh rat jane lagi julf zanjeer hai phir bhee hai kitni hasin rashmi rashmi ambari ambari - (2) afreen afreen afreen.......... - (4) husn-e-jana kee tarif mumkin nahee afreen afreen afreeeen afreeen.......... too bhee dekhe agar toh kahe hamnashi afreen afreen afreen afreen........... husn-e-jana kee tarif mumkin nahee - (4)
|