Song Lyrics Title : Arman tha humein jinka Song Lyrics Movie : Aulad (1968) Singers: Rafi, Lata
mp3 songs
Armaan thaa hamen jinka wo pyaar ke din aaye Armaan thaa hamen jinka wo pyaar ke din aaye rut aayi wafaaon ki ikraar ke din aaye rut aayi wafaaon ki ikraar ke din aaye
ab dil mein na machlega deewaana koyi dil ka ab dil mein na machlega deewaana koyi dil ka khaamoshi na rokegi afsaana koyi dil ka hothon ne girah kholi izhaar ke din aaye Armaan thaa hamen jinka wo pyaar ke din aaye
mukhda na chhipaayenge ham chhaaon me baanhon ki mukhda na chhipaayenge ham chhaaon me baanhon ki ban aayegi in pyaasi matwaali nigaahon ki wo shaam e haya beeti deedar ke din aaye armaan tha hamen jinka wo pyaar ke din aaye
ab hongi is ek dil ko bahlaane ki sau baaten ab hongi is ek dil ko bahlaane ki sau baaten sau baaten bigadne ki man jaane ki sau baate tamnhaai me saajan se takraar ke din aaye Armaan thaa hamen jinka wo pyaar ke din aaye rut aayi wafaaon ki ikraar ke din aaye
|