Song Lyrics Title : Chup chup apni jaan pe Song Lyrics Movie : Jeeo Aur Jeene Do (1982) Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Kavita Krishnamurthy, Suresh Wadkar Lyricist:Verma Malik Music Director: Pyarelal, Laxmikant Kudalkar Film Director: Shyam Rahlan Film Producer: Ratan Mohan
mp3 songs
chup chup apni jan pe sah ja dunia ka anyay koi nahi is dharti par jo tera dard bataye sita ke liye likha hai yahi har yug me agni pariksha de sita ke liye likha hai yahi har yug me agni pariksha de dukh sah ke bhi mukh se kuch na kahe man ko dhiraj ki siksha de sita ke liye likha hai yahi
gairo ke kadwe bol sune apno ka atyachar sahe gairo ke kadwe bol sune apno ka atyachar sahe jis ram ke sang ban ban bhatke us ram ke bhi dutkar sune dharti me shamane se pahle dharti me shamane se pahle dharti ki tarah har bar sahe sita ke liye likha hai yahi
purusho ki banai dunia me kya ik nari ka man na bache purusho ki banai dunia me kya ik nari ka man na bache jis jahar se ram ka man na bacha us jahar se kya insan bache jo reet yugo se jari hai jo reet yugo se jari hai us reet se kaise jan bache sita ke liye likha hai yahi
is andhi bahari nagri me jab jab sita ko aana hai is andhi bahari nagri me jab jab sita ko aana hai jite ji kasht uthana marne pe sati kahlana hai marne pe sati kahlana hai itihas ke panno ko sadiyo itihas ke panno ko sadiyo yuhi ye katha dohrana hai sita ke liye likha hai yahi har yug me agni pariksha de dukh sah ke bhi mukh se kuch na kahe man ko dhiraj ki siksha de sita ke liye likha hai yahi
Posted by: {Jiya}
|