Song Lyrics Title = Aaj Ki Raat Song Lyrics Movie = Nai Umar Ki Nai Fasal (1965) Singers = Asha Bhosle, Mohammed Rafi Song Lyricists = Neeraj Pathak Music Composer = Roshanlal Nagrath Director = R. Chandra Music Label = Saregama Starring = Rajeev, Tanuja, Ulhas, Shobhna Samarth, Leela Chitnis, S.K. Prem, M.A. Latif, Renuka Roy Release on = 15th June, 1965
mp3 songs
Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai Aaj to tere binaa neend nahin aayegi Ab to tere hi yahaan aane kaa ye mausam hai Ab tabeeyat na khayaalon se bahal paayegi
Haay paani ki ye rimjhim ye guledaar phuhaar Aise nas nas mein teri chaah jagaa jaati hai Jaise pinjre mein kisi qaid pade panchhi ko Apni aazaad udaanon ki yaad aati hai Ab to aa jaao Ab to aa jaao meri maang ke sindoor suhaag Saans teri hai Saans teri hai tere naam pe mit jaayegi Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Aisi hi raat to wo thhi ke teri nazron ne Mujhe pahnaayaa thaa jab pyaar ke kapdon kaa libaas Aur us raat bhi aisi hi sharaabi thhi fizaa Jab teri baahon mein mahki thhi meri saans-o-adaa Aur ab aisi Aur ab aisi jawaan rut mein akeli main hoon Aa jaa warnaa Aa jaa warnaa ye shamaa kaanp ke bujh jaayegi Aaj to tere binaa neend nahin aayegi Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Hmm hmm hmm Par thahar wo jo wahaan Par thahar wo jo wahaan lete hain footpaathon par Laash bhhi jinki kafan tak na yahaan paati hai Aur wo jhonpde chhat bhi na hai sar par jin ke Chhaate chhappar hi jahaan zindagi so jaati hai Pahle in sab ke liye Pahle in sab ke liye ek imaarat gadh loon Phir teri maang Phir teri maang sitaaron se bhari jaayegi Aaj to tere binaa neend nahin aayegi Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai Aaj to tere binaa neend nahin aayegi.....
Posted by : {Anamika Tyagi}
|