Song Title = Mere Pairon Me Movie/album = Sunghursh (1968) Singers = Mohammed Rafi Song Lyricists = Shakeel Badayuni Music Director = Naushad Ali Director = Harnam Singh Rawail
Mp3 Song Lyrics
((Dil paya albela maine Tabeeyat meri rangeeli Haay
Aaj khushi mein maine bhaiya Thodi si bhang pi lee Ha ha ha ha
Haay mere pairon mein Haay mere pairon mein ghunghroo bandha de To phir meri chaal dekh le
Mere pairon mein ghunghroo bandha de To phir meri chaal dekh le Zara jam ke bhaiya
Mohe laali chunar, mohe laali chunariyaan odha de To phir meri chaal dekh le
Mere pairon mein ghunghroo bandha de To phir meri chaal dekh le
Kya chaal hai tori Zara jhoom le gori
A haa, waah
Haale dole kisi ki nathni Jhoome kisi ka jhumka
Har paari dil thaam le apna Aisa lagaun thumka Kaise bhala
Aise ding ka tikat phurr ka tikat aa Jab ho kisi ki byaah sagayi
Meri jawani le angdayi Meri jawani le angdayi
Koyi meri haay haay Koyi meri bhi shaadi kara de
To phir meri chaal dekh le Mere pairon mein ghunghroo bandha de To phir meri chaal dekh le
Koyi ghoonghat waali mere Dil pe chalaye chhuriyaan
Koyi nainon waali chhode Nainon se phuljhadiyaan
Roop hain lakhon aur ik dil hai Aape mein rahna bhi mushqil hai
Aape mein rahana bhi mushqil hai Koyi ankhiyon haay haay
Koyi ankhiyon se daru pila de To phir meri chaal dekh le
Zara nain mila ke Zara dil laga ke
Ek najar se dil bharmaye Dooji se le jaaye
Teekhi najar tu aisi maare Jo dekhe lut jaaye
Saari duniya tujhpe deewani Main bhi to dekhoon teri jawani Main bhi to dekhoon teri jawani
Zara mukhde hoy hoy Zara mukhde se ghunghta hata de
To phir meri chaal dekh le Mohe laali chunar mohe laali chunariyaan odha de To phir merii chaal dekh le
Mere pairon mein ghunghroo bandha de To phir meri chaal dekh le...))
Posted by : {Ritu Kesharwani}
|