Song Lyrics Title = Bhookh Hi Bhookh Hai Song Lyrics Movie = Mazdoor Zindabad (1976) Singers = Mohammed Rafi Song Lyricists = Asad Bhopali Music Composer = Usha Khanna Director = Naresh Kumar Music Label = Saregama Starring = Randhir Kapoor, Parveen Babi, Manmohan Krishna, Rajendra Kumar Release on = 10th March, 1976
mp3 songs
((Bhookh hi bhookh hai insan se haiwan tak Bhagwan se shaitan tak Bhookh hi bhookh hai Bhookh hi bhookh hai
Bharat desh me sab kuch hai Ho daulat bhi hai anaj bhi Or dudh ki nadiya bahti hai Ho is dharti pe aaj bhi magar Ye sab kuch chupa hai chor ke tahkhano me Magar ye sab kuch Chupa hai chor ke tahkhano me Jo mahangayi faila kar Khud aish kare maykhano me Lanat hai in gaddaro par Yahi to desh ke dusman hai Ram raj ko lutne wale Aaj bhi kitne rawan hai Daulat ka koi bhookha hai Roti ka koi bhookha hai Bhookh hi bhookh hai Bhookh hi bhookh hai
Daulat ne insano ko ho Do hisso me bat diya hai Ek amir or ek garib Do namo ne janam liya hai Unche mahal makhmal ke gadde Chandi sona ek taraf Tute jhopad khak ka bistar Dukh ka rona ek taraf Kimti care sari bahare ho Sukh ka jina ek taraf Jalte paw nanga badan ho Mehanat ka pasina ek taraf Bhookh kahi aaram ki Bhookh kahi hai kam ki Bhookh hi bhookh hai Bhookh hi bhookh hai
Is dunia ke mele me Ye khel bhi dekha jata hai Koi dudh malai khata hai Koi jhuthan ko lalchata hai Pet ki aag bujhane ko jab Jhuthna koi uthata hai Ek bhookhe se dusra bhookha Chinta hai le jata hai Hotel ho ya kachra ghar Haye roti jaha mil jati hai Insan or hawan ko ho ooo Bhookh ek jagah le aati hai Yahi tamsha duniya me Sadiyo se dekha jata hai Magar wo uparwala kisi ko Bhookha nahi sulata hai Bhookha nahi sulata hai...))
Posted by : {Ritu Kesharwani}
|