Song Lyrics: Kya Miliye Aise Logo Se Song Lyrics Movie or Album: Izzat (1968) Singer(s): Mohammad Rafi Music Director(s): Laxmikant-Pyarelal Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Lyrics
kya miliye.........
(kya miliye aise logo se, jinakee fithrath chhupee rahe nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe) - (2)
khud se bhee jo khud ko chupaye, kya unase pehchan kare kya unke daman se lipate, kya unaka samman kare jinakee aadhee niyath ubhare, aadhee niyath chhupee rahe nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe......
dildaree kaa dong rachakar, jal bichaye baton kaa jitejee kaa rishta kehekar, sukh dunde kuchh rato kaa ruh kee hasrath labh par aaye, jism kee hasrath chhupee rahe nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe......
jinke julm se dukhee hai janta, har bastee har ganv me daya dharam kee bat kare woh, bait ke sajhee sabhavo me dan kaa charcha ghar ghar pahunche, lut kee daulat chhupee rahe nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe........
dekhen inn nakalee cheharo kee, kab tak jai jai kar chale ujale kapdo kee teh me, kab tak kala sansar chale kab tak logo kee najaro se, chhupee hakikat chhupee rahe nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe....
kya miliye aise logo se, jinakee fithrath chhupee rahe nakalee chehera samne aaye, asalee surath chhupee rahe.......
|