Song Lyrics: Lakdee Jal Koyala Bhayee Song Lyrics Movie or Album: Bedard Jamana Kya Jane 1959 Singer(s): Mohammad Rafi Music Director(s): Kalyanji-Anandji Lyricist(s): Bharat Vyas
Lyrics
lakdee jal koyala bhayee, koyla jal bhayo rakh mai papin aisi jali koyla bhayee naa rakh
koyee aansu pikar jita hai, koyee tute dil ko sita hai kahee sham dhale kahee chita jale, kahee ghum se tadpate diwane bedard jamana kya janey - (2)
o malik teraa kaisa aalam, yaha ek kushee toh lakh hain ghum barat kahee toh kahee matam, kismat ke anokhe afsane bedard jamana kya.........
kanp utha sindur mang kaa, woh suhagan kee rat dhalee rani bankar aayee thee woh aaj, bhikharee banke chalee chhuta hai ghar jaye kidhar, apne bhee huye begane bedard jamana kya.........
uss sham kaa hoga savera kaha, yeh panchhee lega basera kaha yeh pawan hai agan aur garjata gagan, dharti bhee lagee abb thukrane bedard jamana kya.........
jalim ko apne julmo kee hotee kabhee pahachan bhee hai insan teree aankho me bhagwan bhee hai shaitan bhee hai kashti se kinara ruth gaya, yeh dhakelatee hai lahar aur aage saya bhee nahee abb pahachane, bedard jamana kya.........
chingaree se chingaree jale aur aag se aag sulagatee hai yeh bat sarasar sachchi hai kee chot se chot lagtee hai jin hatho me motiyo kee ladiya, unme padi hain hathakadiya apna hee bhag laga hai aag lagane, bedard jamana kya.........
|