Song Lyrics Title: Kaisi haseen raat Movie / Album Name : Aadmi 1968 Singers : Mohammed Rafi, Talat Mahmood Song Lyricists : Shakeel Badayuni Music Composer : Naushad Ali Music Director : Naushad Ali Director : A Bhimsingh Music Label : Saregama Starring : Dilip Kumar, Manoj Kumar, Waheeda Rehman Release on : 16th July, 1968
mp3 songs
Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai O dene waale tune to koyi kamee na kee Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai
Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi Aate hai jindagi mein yeh aalam kabhi kabhi Har ghum ko bhul jaao, khushi ki baaraat hai Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai
Aayi hai woh bahaar ke nagame ubal pade Aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade Honto pe hai duwaaye, magar dil pe haath hai Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai
Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi Meri khushi bhi aapke daaman mein aa gayi Bhavra kali se dur nahi, saath saath hai Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai...
Posted by : {Anamika Tyagi}
|