Song Title : Har Ek Muskurahat Movie/Album : Aankhon Mein Tum Ho (1997) Singer : Alka Yagnik
La la la laa, la la la la laa laa Aah haa, aah ha ha ha ha ha haa La la la laa, la la la laa laa, la la la la laa la, aah ha ha
Har ek muskuraahat muskaan nahin hoti Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise - 2 In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Har baat hai vahi par matlab badal gaye hai Dil dagmagaa gaya tha, par hum sambhal gaye hai Aise bhi aate hai din, jeete hai log lekin - 2 Hota hai aur sab kuch, par jaan nahin hoti Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
La la la laa, la la la la laa laa Aah haa, aah ha ha ha ha ha haa La la la laa, la la la laa laa, la la la la laa la, aah ha ha
Hote hai is jahan mein chehre bhi ek jaise Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise Sab jaanti hai nazrein, pehchaanti hai nazrein - 2 Apni paraayi soorat anjaan nahin hoti Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela Rehta hai saath iske yaadon ka ek mela Duniya bhi chhoot jaaye, har aas toot jaaye - 2 Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahin hoti Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise - 2 In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
|