Song Lyrics Title = Hum sabko nek raah chalaanaa Song Lyrics Movie = Copy of Dada Singers = Suman Kalyanpur Song Lyricists = Gauhar Kanpuri Music Composer = Usha Khanna Music Director = Usha Khanna Director = Jugal Kishore Music Label = Saregama Starring = Vinod Mehra, Bindiya Goswami, Amjad Khan, Jagdeep, Shashi Puri, Jeevan Release on = 10th September, 1979
mp3 songs
Hum sabko nek raah chalaanaa mere allaah Bandon ko buraai se bachaanaa mere allaah Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa
Ik vaakayaa sunaati hoon main apni zubaani Apne badon se maine sunee hai ye kahaani Rehtaa thaa kisi shehar mein ek aisa bhi insaan Jo naam ka muslim thhaa magar kaam ka shaitaan
Zaalim ko zor e baazoo pe apne guroor thaa Yaani ke bekhudi mein khudaa se wo door thaa Sab log usey kehtey thhe jallaad sitamgar Maasoom ki fariyaad ka us pe na thhaa asar Jo waadaa us ne kar liyaa wo kar ke dikhaayaa Paison ke liye qatl kiye khoon bahaayaa Ik din wo behtaa khoon asar us pe kar gayaa Insaan zindaa ho gayaa shaitaan mar gayaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa
Imaan jisey kehte hain farmaan e khudaa hai Quraan ke har lafz mein us ki hi sadaa hai Allaah ne bakshi hai jo imaan ki daulat Ye sab se badi cheez hai insaan ki daulat Soye huye dilon ko jagaataa hai ye imaan Bhatke huyon ko raah dikhaataa hai ye imaan Imaan ki garmi se pighal jaate hain patthar Is noor se bantey hain sanwartey hain muqaddar Jo sab se pyaar kartaa hai insaan wohi hai Muslim hai wohi, saahib e imaan wohi hai Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa
Jis kaam ke karne pe na ho raazi koi dil Wo kaam bhi is duniyaa mein nafrat ke hai kaabil Jo kuchh bhi zubaan keh de wo iqraar nahin hai Laghzish hai labon ki wo gunehgaar nahin hai Jo dil se nahin kartaa buraai ka iraadaa Allaah se wo taubaa karey tod de waadaa Jaldi jo sambhal jaaye wo nadaan nahin hai Imaan jis mein ho wo beimaan nahin hai Duniyaa mein hameshaa to nahin rehtaa andheraa Insaan jahaan jaage wahin pe hai saveraa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa
Jo sacche dil se kartaa hai imaan ki aarzoo Allaah ki nazaron mein wo hotaa hai surkh rooh Imaan mein kyaa kyaa na sahaa pyaare nabee ne Kyaa aisi museebat bhi utthaayee hai kisi ne Karbal ke shaheedon ne sabak hum ko padhaayaa Sajde mein de ke jaan ko imaan bachaayaa Iss raah mein jo sehtey hain taqleef o museebat Ik roz un pe hoti hai allaah ki rehmat Insaan hai wo jo doosron ka dil na dukhaaye Pad jaaye agar jaan pe to jaan lutaaye Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa Allaah karam karnaa Maulaa tu reham karnaa.
Posted by : Priyanka Shukla
|