Song Lyrics Title = Jaise Aankhon Se Aansoo Song Lyrics Movie = Harishchandra Taramati (1963) Singers = Mohammed Rafi Song Lyricists = Virendra Mishra Music Composer = Hridaynath Mangeshkar Director = B K Adarsh Music Label = Saregama Starring = Pradeep Kumar, Madhumati
mp3 songs
Ek samay tha jab ki devta Sare tumse darte the Bijli pahra deti thi Aur badal pani bharte the Aur aaj Jaise aankhon se aasu Jaise aankhon se aasu Aise nikle ho tum Khushiyo ka chaman luta kar Kis aur chale ho tum Jaise aankhon se aasu
Mehlo ki dahli jhuthi Phulo ki veni tuti Raja se rank bane ho Phir bhi sabke apne ho Rote sare purwasi Roti hai ek ek dasi Utre sabke chehre hai Sabke hi nain bhare hai Koi bhi kya badlega Jitne badle ho tum Khusiyo ka chaman luta kar Kis aur chale ho tum Jaise aankhon se aasu
Tum satya veer tum dani He dhany huyi kurbani Gam ki gathri kandhe par Aur dharm ki lathi lekar Tum dhukh mein hasna sikhe Kya kehne is masti ke Jinko aage badhna hai Har sankat se ladna hai Andhiyara dhul jayega Jitne ujle ho tum Khusiyo ka chaman luta kar Kis aur chale ho tum Bahte aanhko se aasu
Faste ho kabhi daldal mein Ya phir nadiya ke jal mein Chubhte kate paavo mein Uljhe ho kin bhavo mein Tum nange pairo wale Pad gaye hai kitne chhale Pad gaye hai kitne chhale Auro ka dukh apne par Khud odh chale ho tum Khushiyo ka chaman luta kar Kis aur chale ho tum Jaise aankhon se aasu
Suna pan mar ghat jaisa Har pal koi andesha Suraj ko to dhalna hai Lekin tumko chalna hai Sagar awaz lagaye Khud lehre tumhe bulaye Khud lehre tumhe bulaye Tuta man gir jata hai Gir kar sambhle ho tum Khushiyo ka chaman luta kar Kis aur chale ho tum Jaise aankhon se aasu....
Posted by : {Anamika Tyagi}
|